Na sukun hai na shauhrat hai
Yeh zindagi bhi ajeeb hai na?

Na dard hai na dawa hai
Par mareez hoon main
Akele hi lad rahi hoon roz ab

Na kisi ka intezaar hai mujhe
Aur na hi kahin jaana hai
Phir bhi ek baichaani si hai

Na kaam hai na araam hai
Ghadi ke kaante yun bhaag rahe hain par
Ki theherna bhi gunaah lagta hai ab

Ek daud si lagi hui hai
Na talab hai na bulaawa hai
Phir bhi bhaag rahe hain sab

Kai sawaal hain zehen mein mere
Jinka jawaab khud mein ek kahaani sa lagta hai

Pathik toh aa raha hai
Par raah ab dikhaayi nahin deti

Kahin chal padi hoon mein
Manzil ki laalsa nahin hai
Kyunki ab toh raah hi manzil ban gayi ho jaise

Yeh zindagi bhi badi ajeeb hai na
Na sukun hai na shauhrat hai..
2 comments | 

2 comments:

  1. wah, chayawad asar dikhta hai aap par , aaj ki zindagi ko bade acche se piroya hai apne apne sahbdo mein, par thoda nakaratmak ho gya !!

    ReplyDelete
  2. Really very nice and heart touching poem which reveal truth of life.

    ReplyDelete